Sarwat Ke Ham Safar
ثروت کے ہمسفر کو تو وہ یار کہتا ہے
خالی کرے جو جیب اسے پیار کہتا ہے
Sarwat Ke Ham Safar Ko To Woh Yar Kahta Hai
Khali Kare Jo Jeb Use Pyar Kahta Hai
باہوں میں باہیں غیر کے ڈالے ہوئے ہے وہ
اور خود کو اب بھی میرا وفادار کہتا ہے
Bahon Me Bahein Gair Ke Dale Huye Hai Woh
Aur Khud Ko Ab Bhi Mera Wafardar Kahta Hai
فطرت میں جس کی کوئی مروت نہیں رہی
وہ مجھ وفاشعار کو غدار کہتا ہے
Fitrat Me Jiski Koi Murawwat Nahi Rahi
Woh Mujh Wafa Shiyaar Ko Gaddar Kahta Hai
لیتا ہے تھوپ چہرے پے میک اپ کی رونقیں
اور اس چمک کو چہرے کے انوار کہتا ہے
Leta Hai Thop Chehre Pe Makeup Ki Raunaqein
Aur Us Chamak Ko Chehre Ke Anwar Kahta Hai
کرکے بدن کو عریاں جو حاصل کیا مقام
وہ شخص اس مقام کو معیار کہتا ہے
Karke Badan Ko Urya(n) Jo Hasil Kia Maqam
Woh Shakhs Us Maqam Ko Meayaar Kahta Hai
ہم نے اسے عدو سے بچایا ہے آج تک
خود کو وہ اب بھی کیوں بڑا ہشیار کہتا ہے
Hamne Use Adu Se Bachaya Hai Aajtak
Khud Ko Woh Ab Bhi Kyu Bada Hushyar Kahta Hai
کرتا ہے قتلِ عام مچائے تباہیاں
مکر و فریب ظلم کو سرکار کہتا ہے
Karta Hai Qatle Aam Machaye Tabahiya(n)
Makr O Bareb Zulm Ko Sarkar Kahta Hai
خود جانتا نہیں ہے کہ ظلم و ستم ہے کیا
اس ننہے منے دل کو جفاکار کہتا ہے
Khud Janta Nahi Hai Keh Zulm O Sitam Hai Kya
Us Nanhe Munne Dil Ko Jafakar Kahta Hai
کرتا ہے غیر سے جو بہانوں سے گفتگو
ناداں قمر کو بیچ کی دیوار کہتا ہے
Karta Hai Jo Gair Se Bahano Se Guftgu
Nada(n) Qamar Ko Beecch Ki Deewar Kahta Hai
#Qamar_Raza_Markazi (Matlabi)